chanakya neeti

1.   MANUSHY jo bhi chota ya bada karya karta hai use usme arambh se puri sakti lagakar karya karna chahiye. yah shiksha hame singh (tiger) se milti hai.

2.    BUDDHIMAAN vyakti ko apni indiriyo ko apne vash me karke, samay ke anuroop bagule ke saman apne karya ko siddh karna chahiye.

3.   SAMAY par uthana , yuddh ke liye taiyar rahna ,apne bandhuyo ko unka uchit hissa dena aur swayam akraman kar ke bhojan maushya ko ye e baatein murgi se shikh leni chahiye .

4.    CHHIPKAR maithun karna, dhee t hona, samay-samay par kush vastuye ikattha karna , nirantar shawdhan rahna aur kisi dusre par puri tarah vishwas nahi karna, ye 5 baatein kauwa se sikh leni chahiye 

5.  KUTTE ki yan visheshta hoti hai ki jab use khane ko milta hai to bahut khata hai aur use  kuch khane ko nahi milta hai to bhi wah santusht ranta hai.

6.   logo ko gaddhe(donkey) se 3 baate sikh leni chahiye apne malik ke liye atyant thake hone par bhi bojh dota hrahta hai. sardi garmi ki chinta na karke, bhi sada santosh se jivan bitata hai.

7.  MURKH log apna pratah kaal ka samay juawa khelne me, dopahar ka samay shtri  ki sundarta ka warnan karne me  aur ratri ka samay chori aadi me gawate hai.

8.  JAB manushya ke paas dhan nahi hota  to uske dost, shtri, naukar aru bhai-bandhu use chhod kar chale jate hai. yadi uske paas fir se dan aajaye to wah fir se uska aashray le lete hai. sansaar me shan himanushya  ka bandhu hai.

9.  Is sansar me aisa koyi bhi nahi jise dhan aur aishwarya pakar abhimaan na hua ho. is sansar me koyi vishay bhogi me lipt  vyakti bhi aisa kabhi nahi hua jise kasht na bhogne pade ho. sansar me aisa koyi vyakti nahi hai,jo sundar stri ke vash  me na hua ho. 

dosto yah neeti vachan hame khas apke liye likha hai jisme jivan ke safalta ka marg darsan karata hai.

hamari yahi kamna hai ki ye niti vachan apke jindagi me khushiya laye 
 apke jivan me samriddhi hi samriddhi ho, khushal jindagi ho.

aapke angan me khushiyo ka phool khile 
 aapko manchaha rasta milye

safalta aap ki kadam chume

sari khushiya apke naam ho.

all the best!

thank you

No comments:

all just have

My photo
sarsiwa, chhattisgarh, India
I am an engineering student