LAGAN AUR ICHCHHA JARURI HAI SUCCESS PANE KE LIYE

Agar aap apne sapno ko sakar karna chahte hai, to yah nitant avashyak hai ki aap me lagan ho. vijeta banane wale saare guno me sabse mahatva gun hai. Apko lagatar koshis karte rahna hoga aur apne mann me sanakalp karte rahna hoga ki ap kabhi har nahi manenge. kabhi bhi nahi. 

Lagan pratirodh ko nasht  kar deta hai.

Jivan kahega nahi, log kahenge nahi, magar aap jujhte rahenge, to jivan ant me kahega haa. yah ek niyam hai.

Gurutvakarshan ke niyam ki tarah jo kahta hai ki, aap jo bhi uapr fekenge , wah lautkar niche avashya ayegi. ausat ka niyam kahta hai, ki agar aap paryapt lambe samay tak  puchte rahenge to apko haa sunane ko milega. aisa hokar rahega. jute rahe. kyoki koyi bhi chiz lagan ki jagah nahi le sakti .yogyata bhi nahi. dunia aise  logo se bhari padi hai. jinme yogyata hai, pratibha bhi hai, pratibha ka aparyapt paratidaan  ek kahavat ban chuki hai. duniya shikkshit logo se bari apadi hai.. Lagan aur sankalp hi sarvshaktimaan hai.

Mahanta ki sachchi paribhasha hai; ... jab sadharan log asaadharan kaam kare, lagatar jute rahe   aur har manane se inkar karde; lagan har kami aur seema ki bharpayi kar deta hai, jo aam taur par logo ko apne sapno ka pichha karne se rokti hai. lagan wah punji hai, karma ka wah kadam hai, jo apke sapno ko hakikat me badalta hai. sankalp ek nazariya hai, parntu lagan ek karm hai, kabhi har na manane ka karm.

Aap ki jindagi me khushiya hi khukhiya ho 

Apko apke pariwar se pyar hi pyar mile yahi kamna hai hamari .

Apki ki rahe ujjwal ho! bhavishya khusiyo se bara ho 

All the best !

Thsnk you     

No comments:

all just have

My photo
sarsiwa, chhattisgarh, India
I am an engineering student