KHUD KO DHOKHA DENA SABSE MUSHKIL KARYA HAI

Agar log bewakuf lawe karya na karte to dunia me kabhi koi samajhdari a kam bhi na hota.

koi vyakti agar kewalapni bhasha tak simit rahta to uska dayara dunia ke liye bhi simit ho jata hai yani wah  jaha hai , jiwan bhar wahi rah jata hai

aap kisi ke aage apni galti ko swikar kar rahe hait to iska arth hua ki ab apka dusara janm hoga. aap khud ko naye swaroop me payenge.

jis paristhiti me apke paas kuch bolne ke liye na ho yaa aap kuch nahi bol paa rahe hai to aisi paristhiti me maun rahna hi fayde man hota hai

kabhi bhi khud ko bewaufi ke pahaad  ki uchayiyo par na lekar jaye kyoki jab aap waha se niche ayenge to shidi khayi me girenge aur pura jiwan bewakufi hi karte rahenge.

manushya ka sarir hi uska atma ki sundar tasweer hoti hai
dunia tatthyo si banti hai , chijo se nahijo log bahut jyad jankari rakhte hai,unke liye us sach ko chhipana bahut musil hota hai.

BOLNE KI KALA BHI SIKHE

1. PRABHAWIT sampresan ke liye bolne-sunane ka  kausal chahiye. jab aap behtar shrota honge, tabhi achche wakta ban sakenge. aajkal har kshetra me aise logo o tarjih milti hai. iske liye roj 10 minute nikale.

2. SUNANA SURU KARE -- baatchit ke dauran logo ke bolchaal ki shaili, utaar chadaw par gaur karein. khud bolte hue bhi dhyan de. isase sunane ki kala niharegi.

3. RECORD KARE --- kisi ki bolne i saili ya awaaz se prabhavit hai , to uski awaaz ko record kar sune.

4. OM KA UCHCHARAN--  subah subah sirf 5 minute ka samay nikalkar om ka uchcharan karein. isase swayam yantra khulte hai.. sidhi mudhra me bhaith kar saans chhodte hue om i dhwani nikalni hai

5. AKHBAAR KA EK PAIRAGRAF PADE --- uchcharan sudharna bhi jaruri hai. iske liye akhbaar ki kisi bhi news ka pairagraf pahle dheeme dheeme aur fir teji se pade. dono baar awaaz huli rahe yah abhyas 2-3 minute kare

Safalta ka rajmarg hai asaflta

Aapne sapno ko pura karne ke liye aap jitne jyada johim uthate hai, asafaltao ka bhi apko utna hi jyad saamna karna padta hai.


Mai adhikansh logo se jyada asafal hota hu. mai vyapaar me asafal raha hu.  risto me asafal raha hu, yaha ta ki pure jivan me asafal hota raha hu. pahle mujhe hairani hoti thi, ki aisa kyo hota hai. par ab mai iski wajah samajhta hu.
                           ---- ROBIN SARMA (CORPORATE TRAINNER)


APNE SAPNO KO PURA ARNE KE LIYE AAP JITNE JYAD JOKHIM UTHATE HAI, ASAFALTAO KA BHI APKO UTNA HI JYADA SAMNA KARNA PADTA HAI.

surakshit tapu se  bahar nikle.

Ham me se bahut se log khud ke rache surakshi taapu  me jite hai. Saal  dar saal se wahi soch. bishiyo  saal se wahi batchit saalo se wahi khan paan. kai salo se ek hi raste se kaam par jana. iase jivan ke baare me mai yaha nirnayak nahi ho raha. yadi apko isme khusi milti hai to achchi baat hai lekin asli anand tab ata hai, jab aap khud kuch daaw par rakh kar thoda jokhim uthate hai. ha tab besak apko asafaltaye aur bhi jyada milegi.lekin yah bhi tai hai ki tab safalta bhi pahle se kahi yada apka darwaza khatkhatayegi.

prakriya ka ek hissa hai  asafalta

Dunia ki sarwashresth companys ausat ampaniyo ki mukabale kahi jyada baar asafal rahi hai. Sansar ke safaltam log ausat loge se kahi jyada baar asafal huye hai. Darasal asafalta mahanta ki yor badne ki prakriya ka ek hissa matra hai. Mere liye asafalta ka ek hi arth hai, oshis na karna,  sapne na dekhna aur sahas na arna,  aur meri puri sidadd se manana hai ke jivan me liya ja sakne wala sabse bada jokhim  kabhi koyi jokhim na uthana

jenious ko samne lati hai samasyaye 

yah yaad rakhiye ki samasyaye bhi hamari sevak hoti hai, we apko apne sangathan aur jivan dono me hi pragati karne aur behtar chizo ki our badne me madad karti hai, unhe dur rahne ka arth hai, apni pragati aur vikas ko najar andaaz karna. mere sabse kasht dayak anubhavo me mere vyaktitva  aur charitra ko akaar diya hai. unho ne mujhe gahrayi, buddhimata aur uadarta di hai. unho ne mujhe wah banaya hai jo mai aaj hu. samasyaye apke jenious ko samne lati hai. vishwastariy sangathan apni samasyao o aise ausaro ke roop me dekhte hai,jo unhe behtar banayenge. wishwstariy log jin pattharo se thokar khate hai unhe hi apne unnati ke sopan bana lete hai. we apne asafal tawo ka prayog swayam ko safalta ke arib le jane ke liye karte hai.we samasyayo ko nahi, sambhavnayo ke dekhte hai aur yahi unhe vishwstariy banata hai.

pahaad tod dalo

agar apke mann me e sapna pal raha hai , to use in pach baato par amal karke sakar kare,

patthar fekna suru kare


isi bahut bade aur ashambhav se aam ke liye kaha jata hai. 'pahhad ukhadna .,' lekin pahaad ukhana to wastav me bahut saral hai.ke chini kahawat hai, ki jis vyati ne pura pahad ukhaad dala , usane ek-ek patthar fekne se suru ki thi parvat aise hi tutata hai yaani badi safalta aise hi payi jati hai.

pahle jane karna kya hai


huam chahte hai ki dusra hame batade ya baithe -baithe koi bada mauka mil jaye . parntu badi kamyabi pane ke liye pahle yah janan jaruri hai aap kya aur kyo pana chahte hai ? so, apni ruchi aur jarurato ko jane. apni sambhavnavo ko pahchane. fir bade aur anubhav wale vyaktiyo se  se margdarsan aur salaah le. chamak dama dehar koi nirnay na le

puri yojna banaye

jitne ke liye josh chahiye, lekin josh ko sahi disha dene ke liye yojna chahiye. yojna banti hai hosh me. kya karna hai kaise karna hai,kaunse sansaadhan jutane hai, itne charno me kaam karna haiaise hi dero sawalo ke jawab se banti hai, yojna. yani safalta ka blueprint. isase dimag ulajhta nahi hai, kaam karata hai.

pahaad ko kaise ukhade 


ab suru kare. yeh kaam ka kathin hissa hai iske bina sari yojna sirf khayali pulaw hai. aap ke bar me ek patthar feke, lekin nirantar fekte rahe, Meickal Gladwell apni aut lowyars me bataate hai ki BILL GETS,STIVE JOBS JAISE LOGO ne bhi chamakne se pahle  das hajaar ghante tak aam kiya hai. we jute rahe sikhte rahe, tabhi visesagya ban paye

khidkiya khol le


badlaw ke liye taiyar rahe . aap yah nahi kah sakte ki mai to subah jaldi uath hi nahi sakta ya mess ka khana nahi kha sakta ya bhar se bahar nahi ja sakta apko dimag i khidkiya holni padegi aur pariwartan e liye taiwar rahna padega

sahi logo se jude


aap iladi banana chahte hai to , rat me ghumne wale dosto a saath chhodna padega IAS banana chahte hai to apne jaiso i sangat me baithna hoga. apko varistho se bhi judaw banana padega taki unse marg darsan le sake

chanakya neeti

1.   MANUSHY jo bhi chota ya bada karya karta hai use usme arambh se puri sakti lagakar karya karna chahiye. yah shiksha hame singh (tiger) se milti hai.

2.    BUDDHIMAAN vyakti ko apni indiriyo ko apne vash me karke, samay ke anuroop bagule ke saman apne karya ko siddh karna chahiye.

3.   SAMAY par uthana , yuddh ke liye taiyar rahna ,apne bandhuyo ko unka uchit hissa dena aur swayam akraman kar ke bhojan maushya ko ye e baatein murgi se shikh leni chahiye .

4.    CHHIPKAR maithun karna, dhee t hona, samay-samay par kush vastuye ikattha karna , nirantar shawdhan rahna aur kisi dusre par puri tarah vishwas nahi karna, ye 5 baatein kauwa se sikh leni chahiye 

5.  KUTTE ki yan visheshta hoti hai ki jab use khane ko milta hai to bahut khata hai aur use  kuch khane ko nahi milta hai to bhi wah santusht ranta hai.

6.   logo ko gaddhe(donkey) se 3 baate sikh leni chahiye apne malik ke liye atyant thake hone par bhi bojh dota hrahta hai. sardi garmi ki chinta na karke, bhi sada santosh se jivan bitata hai.

7.  MURKH log apna pratah kaal ka samay juawa khelne me, dopahar ka samay shtri  ki sundarta ka warnan karne me  aur ratri ka samay chori aadi me gawate hai.

8.  JAB manushya ke paas dhan nahi hota  to uske dost, shtri, naukar aru bhai-bandhu use chhod kar chale jate hai. yadi uske paas fir se dan aajaye to wah fir se uska aashray le lete hai. sansaar me shan himanushya  ka bandhu hai.

9.  Is sansar me aisa koyi bhi nahi jise dhan aur aishwarya pakar abhimaan na hua ho. is sansar me koyi vishay bhogi me lipt  vyakti bhi aisa kabhi nahi hua jise kasht na bhogne pade ho. sansar me aisa koyi vyakti nahi hai,jo sundar stri ke vash  me na hua ho. 

dosto yah neeti vachan hame khas apke liye likha hai jisme jivan ke safalta ka marg darsan karata hai.

hamari yahi kamna hai ki ye niti vachan apke jindagi me khushiya laye 
 apke jivan me samriddhi hi samriddhi ho, khushal jindagi ho.

aapke angan me khushiyo ka phool khile 
 aapko manchaha rasta milye

safalta aap ki kadam chume

sari khushiya apke naam ho.

all the best!

thank you

LAGAN AUR ICHCHHA JARURI HAI SUCCESS PANE KE LIYE

Agar aap apne sapno ko sakar karna chahte hai, to yah nitant avashyak hai ki aap me lagan ho. vijeta banane wale saare guno me sabse mahatva gun hai. Apko lagatar koshis karte rahna hoga aur apne mann me sanakalp karte rahna hoga ki ap kabhi har nahi manenge. kabhi bhi nahi. 

Lagan pratirodh ko nasht  kar deta hai.

Jivan kahega nahi, log kahenge nahi, magar aap jujhte rahenge, to jivan ant me kahega haa. yah ek niyam hai.

Gurutvakarshan ke niyam ki tarah jo kahta hai ki, aap jo bhi uapr fekenge , wah lautkar niche avashya ayegi. ausat ka niyam kahta hai, ki agar aap paryapt lambe samay tak  puchte rahenge to apko haa sunane ko milega. aisa hokar rahega. jute rahe. kyoki koyi bhi chiz lagan ki jagah nahi le sakti .yogyata bhi nahi. dunia aise  logo se bhari padi hai. jinme yogyata hai, pratibha bhi hai, pratibha ka aparyapt paratidaan  ek kahavat ban chuki hai. duniya shikkshit logo se bari apadi hai.. Lagan aur sankalp hi sarvshaktimaan hai.

Mahanta ki sachchi paribhasha hai; ... jab sadharan log asaadharan kaam kare, lagatar jute rahe   aur har manane se inkar karde; lagan har kami aur seema ki bharpayi kar deta hai, jo aam taur par logo ko apne sapno ka pichha karne se rokti hai. lagan wah punji hai, karma ka wah kadam hai, jo apke sapno ko hakikat me badalta hai. sankalp ek nazariya hai, parntu lagan ek karm hai, kabhi har na manane ka karm.

Aap ki jindagi me khushiya hi khukhiya ho 

Apko apke pariwar se pyar hi pyar mile yahi kamna hai hamari .

Apki ki rahe ujjwal ho! bhavishya khusiyo se bara ho 

All the best !

Thsnk you     

JANWARO SE JARUR SIKHE

KUTTE (DOG)  sadak par kutta sayad hi buda hota hoga, tezi se jaate hue vaahan ka pichha karna uski bimaari hai. daudte sammay achanak palat kar vaahan ke chapet me aa jata jai.

 

GILLHARI( Squirrel) sabse furtile jivo me gilhari sabse upar hai. sadaiv daudti bhagti rahti hai, lekin sadak pr aakar ghabra kati hai, isliye sadak pr jyada kuchali jati hai. kyoki beech sadak pr akar ghabra jati hai. 

jivan me duvidha atmahatya ke samaan hai

 

KABUTTAR -- Aisa parinda jo sadaiv aatma hatya ke liye taiyar hai. udane ka timing

iska itna galat hai ki vaahan chalak ise bachana nahi chahte  to yah to yah chapet me aa jati hai 

 

KAUWA  -  Purane se purane chaalak  se jankari hasil karle, koyi nahi kah sakta ki kabhi uske vaahan ke niche kauwa ayaya hai. isi karan kauwa ko sayaana pakshi kaha hata hai.

hame jivan me kauwa ki tarah chaukanna vyavhar karna chahiye



HAM APNE JIVAN KO BAHUT HALKE ME LETE HAI. KYOKI HAMARE PAAS JYAD BADI JIMMEDARI NAHI HAI , AUR HAM JYADA BADI JIMMEDARI NAHI LENA CHAHTE KYOKI
HAM APNE AAP KO AURO SE CHHOTA SAMJHTE HAI. HAME LAGTA HAI KI ISE HAM NAHI KAR PAYNGE , TO JARA SOCHIYE KI AAPNE YASA KYO KAHA, KYOKI HAMARE MANN ME EK HI SAWAAL UTHTA HAI KI , YADI HAMSE BHIL HO GAYI TO LOG KYA KAHENGE, TO DOSTO YE BEKAR KI BAATE CHHODO AUR LOGO KO KAHNE DO. KYOKI LOG AAP KARENGE TO BHI KAHENGE UAR NAHI KARNGE TO BHI KAHENGE. JAB AAP KUCH ACHCA KAR LENGE TO YAHI LOG ACHHA BHI KAHENGE  KYOKI LOGO KA KAAM HAI KAHNA KUCH TO LOG KAHENGE NASUNA KIJIYE. APNE KAAM ME MAST RAHIYE
KYOKI JINA ISI KANAAM HAI.

dosto yah batein yaad rakhna jindagi me samashyaye nahi hoti , kewal duvidha hoti hai aur jo kaam ham karne jarahe hai uske bare me sayad hi kuch jante hai, yadi sab kuch janjate to duvidha ka naam nahi, parntu safalta ka maza tabhi hai jab use pur takat ke sath kiya jaye. jo vastu hame bina mehnat ke mil jaye usase khusi anubhav nahi hoti hai.yadi mehnat khud ka ho to phal bhi mitha milta hai.

do

all just have

My photo
sarsiwa, chhattisgarh, India
I am an engineering student