LOG KYA KAHENGE
Adhikansh log dusroke dar se nayi chunautiya hath me nahi lena
chahate, aage badkar pahal nahi karna chahte. Unke mann me sirf
yeh bhay hota hai ki asafal ho gaye to log kya kahenge. Yaha tak ki
log naya haircut katne se, swayam ko naya look dene seaur pasandida kapde
pahanae se darte hai ki log kya kahenge. Dosto logo ko jo kahna,
haiwahi kahenge. Har baat me nuks nikalna ray dena aur vyangy
karna samaaj ke bahut bade varg ka nihshulk rojgar hai. inki
sochoge to kahi ke nahi rahoge. Ye log palate bhi bahut jaldi hai,
aap jara se safal huye nahi ki yahi
log kahenge hamto pahle se jante the , wah to badi honhar thi wah
suru se hi briliant the aadi- aadi. Sahi karya chuniye aur puri takat
se kariye aur logo ko bhool jayiye. ke purani kahavat aapne suni
hogi "haathi chale bezaar, kutte bhonke hajaar"
aap bas haathi ki tarah bezaar hokar apne lakshya ki or chalte
jayiye.baaki logo ko apana kaam karne dijiye. aap apne beete din
me jhankkar dekhenge toaise kayi karya apne ye sochkar nahi kiye
hongeki"log kya kahenge.
MUJHSE YAH NAHI HOGA
kuchh log swayam ke upar bilkul bhi vishwas nahi karte, apne
avisswas ki wajah se ve hin bhavna se grasit rahte hai aur
jimedariyo se dur bhagte hai,
inke hotho par aapko adhikanstah ye layine milengi 'mujhse yah
nahi hoga 'ya mai yah nahi kar paunga'. ye dheere dheere aadat si
banjati hai aur vyakti jane anjae me bahut baar ye layine upyog me
laata hai. dheere dheere us vyakt i karya chhamtaam hone lagti hai.
wah jeemmedariyo sath poori tarah nyaay nahi karta aur asaflta ka
pratisat bad jata hai.
yah asafalta punh us viswas ko drind karti hai ki "mujhse yah nahi
hoga".
dosto yah atmaghati vaakya hai dheer apki chhabi ko nakratma
bana dega. aap swayam o andar se amjor mahsus arenge aur apka
patan nishchi hojayega. aaj se is kam jor line ko talak dijiye aur e
naya vaakya upyog me layiye "dunia me koyi aur kar sakta hai to
mai bhi kar sakta hu"